Sunday, November 19, 2017

Pyar ki ek nai Paribhasha

Dear Priye,

Tere sath hokar maine jani pyar ki ek nayi paribhasha. Pyar, mere liye ek picture ki kahani thi, par jab tujhse mila, to mujhe asli pyar samajh aaya. Tune hi mujhe mahsus karaya ki pyar kya chiz hoti ha, kya ehsas hai, kya tyag hai. Tune hi mujhe pyar karna sikhaya, tere bina shayad me asli pyar kya hai kabhi samajh hi nahi pata. Seriously, m bhale hi tere upar kitna bhi ghussa karu, par sach kahu bahot pyar karta hu tujhse. Bas ye samajhle ki mera ghussa b, pyar karne ka ek tarika hi hai. 

Me din me do bar bat karta hu tujhse, par 24 ghante me 86400 bar tere bare me sochta hu. Mere dil aur dimag me sirf aur sirf tera hi khayal rahta hai. Kai bar to aadhi rat ko teri yad aati hai, par chuki to soti rahti hai, isliye kabhi call nahi karta. Fir subah hote hote lagta hai, kab tera call aaye aur hamari bat ho jae. Chalo mana, ki teri rat m mera din hota h to yad aati hai. Par asal bat to yeh hai ki, kai bar tere din m, matlab meri rat m b tera khayal aa hi jata hai. Sapno me tu aati hai, par jaise hi nind khulti hai, sapna tut jata hai, sab bhul jata hu. Ek kasak si rah jati hai man me ki, me tujhe hi yad kar raha tha.

Tune hu mujhe yeh ehsas dilaya ki, Pyar kise kahte hai. Tune mujhse bina 6 mahine kate, vo 6 mahine, kisi pariksha se kam nahi the. Un mahino me tune mujhe yakin dilaya ki tujhse samajhdar aur hoshiyar ladki koi b nahi. Me to hu hi bevkuf bigda hua dhakkan. Par tu samajhdar hai, hoshiyar hai. Tu janti hai, samajhti hai, mujhe b sambhalti hai. Ek Pativrata Stri hai. ye sab koi bade bade shabd nahi, asliyat hai. Yu na samajh ki m teri tarif kar raha hu, m sirf ek tohfa de raha hu. 

6 mahino bad hum mile aur mil kar mujhe meri galti samajh aai. Milkar maine jana ki me tujhe abhi tak ahmiyat nahi deta tha, jo tujhe milni chahiye. Tujhse milkar maine jana, ki me tujhe kitna kam samajhta tha, asal me tu Pyar ki murat hai. Tune mujhse asli pyar kiya hai. Mafi mangna chahta hu tujh par roz itna ghussa karne k liye, par hum dono k bich koi vyakti aata hai to mujhe jamta nahi. I am sorry.

Lagta hai bahot sara likh diya, tu padh kar bor ho jaegi. 
Aage ka, agle post me.

Truly Yours,
Your Kuku

Wednesday, August 23, 2017

Hai Yahi Kamna

💗

Menu bas tujhe chahna, hai yahi kamna
mil jae tu, bas yahi h tamanna
tere sath bitau sari zindgi, hai yahi kamna
Hai yahi kamna

Jane jana, tune shayad na jana
har pal, tujhe hi maine jana
sirf jana hi nahi, apna mana
ghussa karta hu, pyar kahi zada, ye tune mana

tu mera khwab re
tere dil bata kya re
naino se karde ishare
mera dil to ho chuka ek khuli kitab re

tune yu likh kar, ghayal kar diya mujhe
tune yu zindagi me aa kar, apna bana liya mujhe
tune nam likha hai hatho par, maine likh diya apne dil par
din rat, rat din tere bare me sochu, aise chu liya tune mere/apne jism par

💗
Menu bas tujhe chahna, hai yahi kamna
mil jae tu, bas yahi h tamanna
tere sath bitau sari zindgi, hai yahi kamna
Hai yahi kamna
bas yahi kamna

Wednesday, August 9, 2017

Bin tere, na dhadke mera jiya


Ab to aaja,
Yu na tarsa,
Are, yu na tarsa
Bin tere, na dhadke mera jiya

Sham o subah sochu tere bare me
Kaisa jadu tune kiya
Pas jo tu na ho
To man na lage mere piya

Tujhe pata bhi hai
Tere liye Maine Kya Kya kiya

Apne se zyada tujhe pyar kiya
Sirf tujhko mera Dil diya

Milja tu mujhse Kuch is tarah
Ki duniya b kahe
Tune hi Sacha pyar kiya

Kahte hai pahli nazar me pyar ho jata hai
Tune to har pal, pyar kiya
Tu hi to hai Jis par Maine aitbar kiya
Apne aapko kurban kiya

Ab to aaja,
Yu na tarsa,
Bin tere, na dhadke mera jiya
Bin tere, na dhadke mera jiya
Bin tere, na dhadke mera jiya


Wednesday, July 26, 2017

Tujhe kahu ya na kahu, tera intzar karu


Tujhe kahu ya na kahu, tera intzar karu
bin soche samjhe, bas ghadi dekhta rahu

tu mil jae jaldi se, yahi prathna karu
bin yaha waha dekhe, bas pyar karta rahu

jaise hi tu mil jae, bas pyar karu
bin kuch kahe, teri bat sunu

kahte h sabr ka fal mitha hota hai, us fal ko me bhi chakhu
bin swad liye, bas khata chalu

wada h tujhse, teri pareshaniya dur karu
bin kahe, tere man ki bat jan lu

ek bar mere pas aajae, to tujhe dur na karu
bin bole, tera hath na choru

Tujhe kahu ya na kahu, tera intzar karu.
sirf tera intzar karu...
intzar karu.. 

Wednesday, July 5, 2017

Ik bas yahi h tamanna

Ik bas yahi h tamanna
yun na rutha kar, janeman
tere bin, nahi lage mera man
apna samajh ke maf karde, na kare to marde mera tan aur man
e Husn ki mallika, chal ho jae, hum dono one.

ik bas yahi h tamanna
dur na jau tujhse
pas tu aa jae mujhse
koi galat bat na nikal jae, mukh se
teri zindagi k sare dukh, lag jae mujhse

ik bas yahi h tamanna
ki teri zindagi m bhar du anginat khushiya
dur kardu sari kamiya
tere bin, lage na mera jiya
tujh bin jina to nahi, marna kabul kiya

ik bas yahi h tamanna...

Thursday, June 22, 2017

Ek tu hi hai

Jisne mujhe sambhala hai
Jisne mujhe chaha bhi hai
Jisne mujhe Badla bhi to hai

Tu hi to hai
Jisne jina sikhaya hai
Jisne hasaya bhi hai
Jisne mujhe fasaya bhi to hai

Tu hi to hai
Jisne khud se zada mujhe paya hai
Jisne apni batein chor meri batein suni hai
Jisne Apne se zyada mere bare me Jana hai

Tu hi to hai
Jisne bina dekhe mujhe apnaya hai
Jisne apni khushi ka zimma mere hatho me diya hai
Jisne ek itihas racha hai

Tu hi to hai
Ek tu hi hai...

Saturday, June 17, 2017

Jane, anjane me ye kya ho gaya

Jane, anjane me ye kya ho gaya
tujhko mujhse pyar ho gaya
na na karte, aitbar ho gaya
mujhko tujhse, pyar ho gaya
socha na, jana na bas ho gaya


Jane, anjane me ye kya ho gaya
tune mujhe dekha na, maine tujhe samjha
sahi nahi, galat nahi, pyar ke kabil samjha
in duriyo ko, maine aur tune bhi samjha
tu alag, me alaga, humne ek duje ko samjha


Jane, anjane me ye kya ho gaya
jo hona tha, wahi ho gaya
jo chaha tha, vo pa liya
jiski tamanna thi, vo mil gaya
khuskismat hu, jo tu mil gaya


Jane, anjane me ye kya ho gaya
Jane, anjane me sahi ho gaya...
I am sorry, par tumse pyar ho gaya...

Pyar ki ek nai Paribhasha

Dear Priye, Tere sath hokar maine jani pyar ki ek nayi paribhasha. Pyar, mere liye ek picture ki kahani thi, par jab tujhse mila, to m...